kyā ḳhabar jo nazar aatā hai vo manzar hī na ho
ye samundar kahīñ sach-much meñ samundar hī na ho
jis kī ummīd pe sar phoḌ rahī hai duniyā
kahīñ is āhanī dīvār meñ vo dar hī na ho
jaan kar phuul jise dil se lagā.e hue haiñ
ġhaur se dekh leñ chhū kar use patthar hī na ho
dar-o-dīvār se ye kaise nazar aate haiñ
jis ko vīrāna samajh baiThe haiñ vo ghar hī na ho
is qadar ham ko Darānā nahīñ achchhā 'at.har'
kyā pata ham ko kisī chiiz kā phir Dar hī na ho