Mirza Athar Zia

tamam galiyon mein matam bapa tha jangal ka

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
tamām galiyoñ meñ mātam bapā thā jañgal kā
yahāñ zarūr koī silsila thā jañgal kā
likhī thiiñ vahshateñ sahrā kī merī āñkhoñ meñ
kitāb-e-dil meñ varaq khul rahā thā jañgal kā
hamāre shahroñ meñ ab roz hotā rahtā hai
vo vāqi.a jo kabhī vāqi.a thā jañgal kā
vo is taraf kī pahāḌī pe mīThe jharne the
pa darmiyān meñ rasta ghanā thā jañgal kā
mujh ek shahr meñ aisā bhī thā udaas koī
hamesha mujh se pata pūchhtā thā jañgal kā
kisī ke saath ne insāñ banā diyā hai ise
vagarna dil ye kabhī bheḌiyā thā jañgal kā
jahāñ pe ḳhatm thī insāniyat kī had 'at.har'
vahāñ pe dekhā to ik rāsta thā jañgal kā
Top Urdushayar.com