Meer Mehdi Majrooh

nichi nazron ke war aane lage

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
nīchī nazroñ ke vaar aane lage
lo bas ab jān-o-dil Thikāne lage
merī nazroñ ne kyā kahā yārab
kyuuñ vo sharmā ke muskurāne lage
maslahat tark-e-jaur thā chande
phir usī hathkandoñ pe aane lage
jalva-e-yār ne kiyā be-ḳhud
ham to aate hī un ke jaane lage
sab kā ka.aba hai manzil-e-maqsūd
ham to aage qadam baḌhāne lage
kyā kahīñ āmad-e-bahār huī
kyuuñ garebāñ pe haath jaane lage
gar haqīqat-nigar ho chashm to vo
jalva har rañg meñ dikhāne lage
ham ko rabt-e-guzishta yaad aa.e
vo jo ban-Than ke ghar se jaane lage
bas yahī ġhāyat-e-tasavvur hai
hijr meñ lutf-e-vasl aane lage
us sarāpā bahār ke jalve
rañg kuchh aur hī na khāne lage
kyuuñ ki fursat adū se tum ko milī
jo tasavvur meñ mere aane lage
be-ġhizā ke to rah nahīñ sakte
na milā kuchh to zahar khāne lage
baat bantī nazar nahīñ aatī
ab vo bāteñ bahut banāne lage
aaj 'majrūh' zabt kar na sakā
kyā kare jab ki jaan jaane lage
Top Urdushayar.com