raas aatī hai bahut āb-o-havā sahrā kī
jaane de dī hai tujhe kis ne duā sahrā kī
tujh ko milne se rahā shahr meñ vahshat kā ilaaj
tujh ko shāyad ki shifā baḳhshe havā sahrā kī
ham to lete haiñ mazā ghar meñ hī vīrānī kā
nāz-bardārī kare kaun bhalā sahrā kī
ik samundar hai mirī zaat ke paimāne meñ
Daal rakkhī hai magar us pe ridā sahrā kī
terā ham-zād tujhe shahr meñ milne se rahā
bāñdh le raḳht-e-safar ḳhaak uḌā sahrā kī