Mirza Athar Zia

hum to hain hasrat-e-didar ke mare hue log

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
ham to haiñ hasrat-e-dīdār ke maare hue log
ya.anī ik nargis-e-bīmār ke maare hue log
jal ga.e dhuup meñ jo un kā shumār ek taraf
kam nahīñ sāya-e-dīvār ke maare hue log
tū ne ai vaqt palaT kar bhī kabhī dekhā hai
kaise haiñ sab tirī raftār ke maare hue log
dekhte rahte haiñ ḳhud apnā tamāshā din raat
ham haiñ ḳhud apne hī kirdār ke maare hue log
roz hī ḳhalq-e-ḳhudā martī hai yā dobāra
zinda ho jaate haiñ aḳhbār ke maare hue log
terī dahlīz pe iqrār kī ummīd liye
phir khaḌe haiñ tire inkār ke maare hue log
Top Urdushayar.com