Mirza Athar Zia

koi dariya bhi rawan hai mujh mein

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
koī dariyā bhī ravāñ hai mujh meñ
sirf sahrā hī kahāñ hai mujh meñ
kyā patā jaane kahāñ aag lagī
har taraf sirf dhuāñ hai mujh meñ
jashn hotā hai vahāñ raat Dhale
vo jo ik ḳhālī makāñ hai mujh meñ
ajnabī ho ga.iiñ galiyāñ merī
jaane ab kaun kahāñ hai mujh meñ
ek din thā jo kahīñ Duub gayā
ek shab hai ki javāñ hai mujh meñ
tum jise DhūñD rahe ho 'at.har'
ab vo insān kahāñ hai mujh meñ
Top Urdushayar.com