Mirza Athar Zia

DhunDhta hai koi rasta mere aaine mein

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
DhūñDhtā hai koī rastā mire ā.īne meñ
qaid jo shaḳhs hai mujh sā mire ā.īne meñ
khīñch le tujh ko na ā.īne ke andar kā tilism
ġhaur se dekh na itnā mire ā.īne meñ
us ke jaisā huuñ maiñ ā.īne ke bāhar koī
rah rahā hai vo jo mujh sā mire ā.īne meñ
maiñ hī ā.īna-e-duniyā meñ chalā aayā huuñ
yā chalī aa.ī hai duniyā mire ā.īne meñ
aks kuchh aur nazar aatā hai merā sab ko
kis ne ab tak mujhe dekhā mire ā.īne meñ
rū-ba-rū hotā hai ik shaḳhs bhī mujh sā 'at.har'
maiñ akelā nahīñ hotā mire ā.īne meñ
Top Urdushayar.com