Mirza Athar Zia

har ghaDi barse hai baadal mujh mein

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
har ghaḌī barse hai bādal mujh meñ
kaun hai pyaas se pāgal mujh meñ
tum ne ro-dho ke tasallī kar lī
phailtā hai abhī kājal mujh meñ
maiñ adhūrā sā huuñ us ke andar
aur vo shaḳhs mukammal mujh meñ
chup kī dīvāroñ se sar phoḌe hai
jo ik āvāz hai pāgal mujh meñ
maiñ tujhe sahal bahut lagtā huuñ
tū kabhī chaar qadam chal mujh meñ
muzhda āñkhoñ ko ki phir se phūTī
ik na.e ḳhvāb kī koñpal mujh meñ
kāTne haiñ ka.ī ban-bās yahīñ
ug rahā hai jo ye jañgal mujh meñ
aag meñ jaltā huuñ jab jab 'at.har'
aur aa jaatā hai kuchh bal mujh meñ
Top Urdushayar.com