Mirza Athar Zia

tu bhi ho jaega pani pani

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
tū bhī ho jā.egā paanī paanī
pyaas hai merī purānī paanī
rah ke sahrā meñ harā ho gayā maiñ
mujh meñ bahne lagā dhānī paanī
kahtī jaatī hai kahānī koī
terī har aan ravānī paanī
tū to rahtā hai mirī āñkhoñ meñ
tujh se kyā baat chhupānī paanī
pyaas roke hue maiñ baiThā thā
aur phir chīḳh uThā paanī paanī
maiñ ne khīñchā thā havā par koī lafz
likhtā hai jis ke ma.ānī paanī
merī āñkhoñ se bhī ik baar nikal
dekhūñ maiñ terī ravānī paanī
halq se zahr utārūñ 'at.har'
lā mire dushman-e-jānī paanī
Top Urdushayar.com