Mirza Athar Zia

KHud apne qatl ka ilzam Dho raha hun abhi

Mirza Athar Zia

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1981
ḳhud apne qatl kā ilzām Dho rahā huuñ abhī
maiñ apnī laash pe sar rakh ke ro rahā huuñ abhī
usī pe fasl khaḌī hogī ik sadāoñ kī
maiñ jis zamīn pe ḳhāmoshī bo rahā huuñ abhī
sab apnī apnī fasīleñ haTā leñ raste se
maiñ apnī raah kī dīvār ho rahā huuñ abhī
kaho ki dasht abhī thoḌā intizār kare
maiñ apne paaoñ nadī meñ bhigo rahā huuñ abhī
maiñ tujh ko pheñk bhī saktā thā zindagī lekin
kisī umiid pe ye bojh Dho rahā huuñ abhī
bahut sī āñkheñ mirī raah dekhtī hoñgī
maiñ ek ḳhvāb huuñ ta.abīr ho rahā huuñ abhī
Top Urdushayar.com