ye jo chupke se aa.e baiThe haiñ
laakh fitne uThā.e baiThe haiñ
vo nahīñ haiñ to dard ko un ke
siine se ham lagā.e baiThe haiñ
ye bhī kuchh jī meñ aa ga.ī hogī
kyā vo mere biThā.e baiThe haiñ
tazkira vasl kā nahīñ ḳhālī
vo bhī kuchh lutf paa.e baiThe haiñ
mujh ko maarā hai par ḳhajālat se
vo bhī gardan jhukā.e baiThe haiñ
rañg jamtā hai yaañ na aane kā
ya.anī mehñdī lagā.e baiThe haiñ
mujh ko mahfil meñ dekh kar bole
aap yaañ kyuuñ ki aa.e baiThe haiñ
ḳhair ho haiñ bigāḌ ke āsār
kuchh vo muñh ko banā.e baiThe haiñ
ġham hameñ khā rahā hai to kyā ġham
ham bhī to ġham ko khaa.e baiThe haiñ
zad meñ gar hai adū to ho vo to
ghaat mujh par lagā.e baiThe haiñ
kho.e jaane kā apne dhyān nahīñ
kuchh to aisā hī paa.e baiThe haiñ
sharm se haiñ vo laakh parde meñ
go mire paas aa.e baiThe haiñ
sham.a saañ go ghule hī jaate haiñ
us se par lau lagā.e baiThe haiñ
us galī meñ basān-e-naqsh-e-qadam
ham bhī paañv jamā.e baiThe haiñ
ho na ai sham.a husn par nāzāñ
vo bhī mahfil meñ aa.e baiThe haiñ
shoḳhiyāñ ḳhud haiñ parda-dar un kī
kyuuñ vo muñh ko chhupā.e baiThe haiñ
fard-e-bātil samajh ke duniyā ko
naqsh-e-hastī miTā.e baiThe haiñ
kyā hai us ḳhush-ḳhirām kī aamad
fitne jo jaa.e jaa.e baiThe haiñ
tuur jis aag ne jalāyā thā
ham vo dil meñ chhupā.e baiThe haiñ
chashmakeñ ġhair se dikhā deñge
ham bhī āñkheñ laḌā.e baiThe haiñ
kal taqaddus-ma.āb masjid the
aaj rindoñ meñ aa.e baiThe haiñ
lā-ubālī ḳhirām hai 'majrūh'
vaz.a kaisī banā.e baiThe haiñ