na kyuuñ tīr-e-nazar guzre jigar se
kahīñ ye vaar rukte haiñ sipar se
kisī se ishq apnā kyā chhupā.eñ
mohabbat Tapkī paḌtī hai nazar se
huī hai un ke mushtāqoñ se rah band
vo mere ghar bhalā aa.eñ kidhar se
bhalā dil kā kahāñ milnā ki un kī
nazar bhī to nahīñ miltī nazar se
mujhe dīvār hairat ne banāyā
gayā hai jhāñk kar ye kaun dar se
kabhī TūTeñ kabhī sayyād kaaTe
ġharaz uḌnā nahīñ hai bāl-o-par se
kahāñ kī pairvī jab qasd ye ho
ki aage baḌh ke chaliye rāhbar se
na kholeñge to ye TūTegā āḳhir
ki maiñ Takrā rahā huuñ sar ko dar se
laḌā.ī kā na maiñ toḌūñgā phir taar
zarā sī chheḌ ho jaa.e udhar se
agar jaatī hai jaañ miltā hai jānāñ
hameñ to naf.a afzūñ hai zarar se
rahā dil meñ na hargiz tiir us kā
hameñ khaTkā yahī thā peshtar se
sivā.e shar na kuchh dekhā adū se
ḳhudā mahfūz rakkhe us bashar se
huā go pā.emāl-e-ġhair 'majrūh'
na sarkā yaar ke par rahguzar se