jabīn-e-shauq pe gard-e-malāl chāhtī hai
mirī hayāt safar kā ma.aal chāhtī hai
maiñ vus.atoñ kā talabgār apne ishq meñ huuñ
vo merī zaat meñ ik yarġhamāl chāhtī hai
hameñ ḳhabar hai ki us mehrbāñ kī chāragarī
hamāre zaḳhmoñ kā kab indimāl chāhtī hai
tumhāre baad mirī aañkh zid pe aa ga.ī hai
vahī jamāl vahī ḳhadd-o-ḳhāl chāhtī hai
ham us ke jabr kā qissa tamām chāhte haiñ
aur us kī teġh hamārā zavāl chāhtī hai
harī rutoñ ko idhar kā pata nahīñ mālūm
barhana shāḳh abas dekh-bhāl chāhtī hai