huā karegā har ik lafz mushk-bār apnā
abhī sukūñ se kiye jaao intizār apnā
uThā liyā hai halaf garche jāñ-nisārī kā
mujhe sambhāl ki hotā huuñ baar baar apnā
udaas aañkh ko hai intizār fasl-e-murād
kabhī to mausam-e-jāñ hogā sāzgār apnā
tumhāre dar se uThā.e ga.e malāl nahīñ
vahāñ to chhoḌ ke aa.e haiñ ham ġhubār apnā
bahut buland huī jaatī hai anā kī fasīl
so ham bhī tañg kiye jaate haiñ hisār apnā
har ik charāġh ko hai dushmanī havā ke saath
bechārī le ke kahāñ jaa.e intishār apnā