Ghalib Ayaz

husn ke zer-e-bar ho ki na ho

Ghalib Ayaz

Begusarai, Bihar, India

1981
husn ke zer-e-bār ho ki na ho
ab ye dil be-qarār ho ki na ho
marg-e-amboh dekh aate haiñ
aañkh phir ashk-bār ho ki na ho
karb-e-paiham se ho gayā patthar
ab ye siina figār ho ki na ho
phir yahī rut ho ain mumkin hai
par tirā intizār ho ki na ho
shāḳh-e-zaitūn ke amiiñ haiñ ham
shahr meñ intishār ho ki na ho
sher mere sambhāl kar rakhnā
ab ġhazal mushk-bār ho ki na ho
Top Urdushayar.com