bas tere liye udaas āñkheñ
uf maslahat nā-shanās āñkheñ
be-nūr huī haiñ dhīre dhīre
aa.iiñ nahīñ mujh ko raas āñkheñ
āḳhir ko gayā vo kaash ruktā
kartī rahīñ iltimās āñkheñ
ḳhvābīda haqīqatoñ kī maarī
pāmāl aur bad-havās āñkheñ
darpesh junūñ kā marhala aur
faaqa hai badan to pyaas āñkheñ