ahvāl-e-dil-e-zār sunāyā nahīñ jaatā
jo raaz ayaañ ho vo batāyā nahīñ jaatā
apnā to dil-e-zār hai dānā.ī se ḳhālī
nādān se nādān manāyā nahīñ jaatā
tum hī ye batāo maiñ bhulā.ūñ tumheñ kaise
is dil se koī naqsh miTāyā nahīñ jaatā
sar phoḌnā mushkil nahīñ hotā hai junūñ meñ
dīvār se āshiq ko lagāyā nahīñ jaatā
ta.abīr mile yā na mile baat alag hai
āñkhoñ se magar ḳhvāb churāyā nahīñ jaatā
us shahr kī tauqīr haiñ 'jāzib' hī se āshiq
ushshāq ko nazroñ se girāyā nahīñ jaatā