kyuuñ ġhalat rah se bachāyā na gayā
jaane kyuuñ moḌ ke laayā na gayā
mānñe vaalā mirī bātoñ ko
jaane kyuuñ mujh se manāyā na gayā
sar-phirī tez havā ke hote
diip ulfat kā bujhāyā na gayā
ruuh par sabt huā vo aisā
phir kabhī mujh se miTāyā na gayā
kaT gayā peḌ to āñgan kā magar
mere sar se kabhī saaya na gayā
jab bhī 'jāzib' vo huā ham-āvāz
giit mujh se koī gaayā na gayā