mere siine meñ shor sā kyā hai
jānte ho mo.āmla kyā hai
sair duniyā kī Thaan lī hai agar
muḌ ke bastī ko dekhtā kyā hai
dekhne ko to muḌ ke dekh leñ ham
dekhne ko magar rahā kyā hai
ḳhud-sarāboñ se dostī kī thī
regzāroñ se ab gila kyā hai
badle badle haiñ āshnā chehre
dosto hādisa huā kyā hai
aa.ina pūchhtā rahā 'jāzib'
ḳhushk āñkheñ haiñ mājrā kyā hai