koī zauq-e-nazar hone lagā hai
bahut āsāñ safar hone lagā hai
kahāñ se lāoge tum maañ kī mamtā
agar pardes ghar hone lagā hai
sambhālo ab to is bīmār ko tum
fasāna muḳhtasar hone lagā hai
mire alfāz zau dene lage haiñ
ġhazal kahnā hunar hone lagā hai
vo pahle Tas-se-mas hotā nahīñ thā
agar se ab magar hone lagā hai
laboñ par ab hai us ke muskurāhaT
duāoñ kā asar hone lagā hai
chalo 'jāzib' bachā kar apnā dāman
vo rasta rahguzar hone lagā hai