zindagī regzār kī sūrat
guzrī guzrī bahār kī sūrat
vo na aa.e nazar to hai duniyā
ek ujḌe dayār kī sūrat
sar-kashī chhoḌ kar kahīñ ai dost
aa mire ġham-gusār kī sūrat
yaar kā hai ḳhayāl bhī mujh ko
ḳhvāb kī aur ḳhumār kī sūrat
mausam-e-hijr meñ tirī yādeñ
dasht meñ ābshār kī sūrat
jā-ba-jā āsmān par 'jāzib'
dard kūñjoñ kī Daar kī sūrat