kahne ko pur-sukūn magar maḳhmase meñ huuñ
barsoñ se maiñ ḳhudāyā ajab marhale meñ huuñ
manzil hai mere aage maiñ manzil ke rū-ba-rū
phir bhī maiñ chal rahā huuñ abhī rāste meñ huuñ
jhūTī gavāhiyoñ kī badaulat vo bach gayā
sach boltā huā maiñ abhī kaTghare meñ huuñ
sach baat kahnā jab se shurūa maiñ ne kar diyā
tab se khaḌā maiñ jaise kisī karbale meñ huuñ