Naseem Ahmad Naseem

sabab to kuchh bhi nahin aur udas rahta hai

Naseem Ahmad Naseem

Bettiah, Bihar, India

1964
sabab to kuchh bhī nahīñ aur udaas rahtā hai
ye kaisā dard hai jo dil ke paas rahtā hai
mujhe patā nahīñ us kā magar ye suntā huuñ
vo in dinoñ mire ghar ke hī paas rahtā hai
mirī kitāb ke aurāq sab tumhāre haiñ
jahāñ se dekho tirā iqtibās rahtā hai
maiñ kāTtā huuñ har ek lamha karbalā kī tarah
laboñ pe pyaas to dil meñ hirās rahtā hai
maiñ kal talak jise ik aañkh bhī ye bhātā thā
usī ke dil meñ mirā ab nivās rahtā hai
'nasīm' naam ke us aadmī se milnā tum
na jaane har ghaḌī kyuuñ bad-havās rahtā hai
Top Urdushayar.com