karb āñkhoñ se ayaañ dil meñ kasak baaqī hai
tere jaane kī ḳhalish aaj talak baaqī hai
us kī ḳhvāhish kā shajar ḳhushk nahīñ ho saktā
jis kī har shāḳh-e-tamannā meñ lachak baaqī hai
phir kisī shaam ke ruḳhsār pe rakh degā vo
din ke chehre pe jo thoḌā sā namak baaqī hai
saiñkaḌoñ baar 'nasīm' us ko to dekhā hai magar
phir bhī lagtā hai abhī ek jhalak baaqī hai