Shahab Safdar

jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi

Shahab Safdar

jab bhī kashtī ke muqābil bhañvar aatā hai koī

jagmagātā sar-e-sāhil nazar aatā hai koī

be-ruḳhī us dilātī hai jahāñ ehsās

liye duniyā ḳhabar be-ḳhabar aatā hai koī

shiddat-e-yās meñ chupke se ujāloñ tarah

mere tārīk ḳhayāloñ meñ dar aatā hai koī

tan-e-tanhā to safar dil pe girāñ guzregā

muntazir huuñ ki mire saath agar aatā hai koī

Duub jaatā hai judā.ī shafaq meñ din ko

ufuq-e-ḳhvāb se shab ko ubhar aatā hai koī

ashk piitā huuñ maiñ tiryāq samajh kar jis vaqt

zahr ban kar rag-e-jāñ meñ utar aatā hai koī

hijr sāmāñ hai ravāñ sū-e-shab-e-vasl 'shahāb'

dhuup oḌhe hue zer-e-shajar aatā hai koī

Top Urdushayar.com