har be-ḳhatā hai aaj ḳhatā-kār dekhnā
sachchā.iyoñ pe jhuuT kī yalġhār dekhnā
taqdīr ban na jaa.e shab-e-tār dekhnā
bujhne ko hai charāġh sar-e-dār dekhnā
maqtūl kī jabīñ pe hai qātil likhā huā
kyā faisla ho kal sar-e-darbār dekhnā
hogā bahut shadīd tamāzat kā intiqām
saa.e se mil ke ro.egī dīvār dekhnā
in pattharoñ ke saa.e meñ ruknā fuzūl hai
be-barg-o-be-samar haiñ ye kohsār dekhnā
is shahr-e-ārzū ko nazar kis kī khā ga.ī
maqtal bane haiñ kūcha-o-bāzār dekhnā
kuchh din agar ye mausam-e-vahshat-asar rahā
har aadmī ko be-dar-o-dīvār dekhnā
detā huuñ kaise jaan sar-e-jāda-e-vafā
mujh ko na dekhnā mirā pindār dekhnā
ḳhūn-e-jigar se likhtā huuñ 'sāġhar' maiñ harf-e-haq
vaqt aa.e to qalam ko bhī talvār dekhnā