Imtiyaz Saghar

hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

Imtiyaz Saghar

haiñ ghar kī muhāfiz mirī dahkī huī āñkheñ
maiñ taaq meñ rakh aayā huuñ jaltī huī āñkheñ
ik pal bhī kisī moḌ pe rukne nahīñ detīñ
kāñToñ kī tarah jism meñ chubhtī huī āñkheñ
raste meñ qadam phūñk ke rakhnā mere pyāro
haiñ chāroñ taraf shahr meñ bikhrī huī āñkheñ
yuuñ us ke bichhaḌ jaane pe aañsū na bahāo
manzar ko taras jā.eñgī bhīgī huī āñkheñ
qātil ke sivā koī samajh hī nahīñ saktā
kyā dekhtī haiñ tasht meñ rakkhī huī āñkheñ
kyā jāniye kis ḳhvāb kī ta.abīr meñ gum haiñ
zulfoñ kī ghanī chhāñv meñ uljhī huī āñkheñ
'sāġhar' shab-e-tīra meñ ujāloñ kī amiiñ haiñ
nafrat ke samundar meñ ye bahtī huī āñkheñ
Top Urdushayar.com