vo sañglāḳh zamīnoñ meñ sher kahtā thā
ajiib shaḳhs thā khiltā gulāb jaisā thā
sulagte jism pe mere guloñ kā saaya thā
tire vajūd kā vo lams kitnā mahkā thā
jo āshnā the bahut ajnabī se lagte the
vo ajnabī thā magar āshnā sā lagtā thā
parind shaam Dhale ghoñsloñ kī samt chale
charāġh jalte hī us ko bhī lauT aanā thā
usī daraḳht ko mausam ne be-libās kiyā
maiñ jis ke saa.e meñ thak kar udaas baiThā thā
hamāre gird vahī āhanī salāḳheñ haiñ
siyāh raat kā kaTnā to ek dhokā thā
charāġh donoñ kināroñ ke bujh ga.e 'sāġhar'
hamārī raah meñ haa.el lahar kā dariyā thā