kitāb-e-dil ke varaq jo ulaT ke dekhtā hai
vo kā.enāt ko auroñ ko haT ke dekhtā hai
agar nahīñ hai bichhaḌne kā rañj kuchh bhī use
vo baar baar mujhe kyuuñ palaT ke dekhtā hai
nadī baḌhī ho ki sūkhī har ek sūrat meñ
kināra apne hī paanī se haT ke dekhtā hai
kisī ko tīrgī pāgal na kar sake jab tak
kahāñ charāġh kī lau se palaT ke dekhtā hai
na ho sakeñge kabhī us ke zehn-o-dil raushan
varaq varaq jo kitāboñ ko raT ke dekhtā hai
usī pe khultī haiñ duniyā kī vus.ateñ 'shāhid'
jo apnī zaat meñ har pal simaT ke dekhtā hai