Shahid Jamal

chhanw auron ke liye hai to samar auron ke

Shahid Jamal

chhāñv auroñ ke liye hai to samar auroñ ke
kaam aate haiñ hamesha hī shajar auroñ ke
vo hai ā.īna use fikr ho kyuuñ kar apnī
vo batātā hai faqat aib-o-hunar auroñ ke
jañg maidān se kamroñ meñ simaT aa.ī hai
ghar na jaanā kabhī be-ḳhauf-o-ḳhatar auroñ ke
ahd-e-nau terī siyāsat kā karam hai ki yahāñ
jism apne haiñ magar jismoñ pe sar auroñ ke
baḳhshne vaale hameñ baḳhsh de apnī tāqat
ab na rahe pā.eñge ham dast-nigar auroñ ke
mujh ko apnoñ ne vo ta.abīreñ atā kī haiñ ki aaj
ḳhvāb palkoñ pe sajātā huuñ magar auroñ ke
ye bhī kyā baat ki har saañs ho ḳhud se mansūb
zindagī naam hī karnā hai to kar auroñ ke
Top Urdushayar.com