Shahid Jamal

ye din ye raat ye sham-o-sahar sameT liye

Shahid Jamal

ye din ye raat ye shām-o-sahar sameT liye
ġhazal ke shauq ne kitne pahar sameT liye
fazā meñ aisā ta.assub kā zahr phail gayā
na jaane kitne parindoñ ne par sameT liye
samāj terī marammat na ho sakegī kahīñ
jo ham ġharīboñ ne dast-o-hunar sameT liye
ye soch kar ki añdhere na zindagī ban jaa.eñ
jahāñ jahāñ mile shams-o-qamar sameT liye
bikher paa.e na ham rāstoñ meñ phuul magar
mile jo ḳhaar sar-e-rah-guzar sameT liye
patā batā.egā ab vaqt un kī manzil kā
musāfiroñ ne to rakhte safar sameT liye
samajh meñ aa ga.ī 'shāhid' agar koī bhī radīf
jo qāfiya bhī lage mo'atabar sameT liye
Top Urdushayar.com