ghar ho yā bāhar vahī kaḌvī kasīlī guftugū
kab talak sunte raheñ ham ek jaisī guftugū
chand lamhoñ meñ bhaTak jaa.e jo mauzuāt se
be-sabab vo kyuuñ kiyā kartā hai ilmī guftugū
us ke lahje meñ to halkī sī nadāmat bhī nahīñ
ik taraf ham bhuul jaa.eñ pichhlī saarī guftugū
pal meñ rattī pal meñ māshā pal meñ raa.ī kā pahāḌ
pak chuke haiñ kaan sun sun kar siyāsī guftugū
ghar kyā baiThā hai dil meñ aaj tak ik ek lafz
kyā musībat ban ga.ī do-chār pal kī guftugū
ab koī apnā.e chāhe mustarad kar de mujhe
maiñ ġhazal meñ kar nahīñ pā.ūñgā nañgī guftugū
achchhe-ḳhāse log uTh jaate haiñ mahfil chhoḌ kar
jab kabhī hotī hai kuchh logoñ meñ adabī guftugū