Shahid Jamal

roz dohraenge jab sham-o-sahar ki tariKH

Shahid Jamal

roz dohrā.eñge jab shām-o-sahar kī tārīḳh
kaise badlegī bhalā aap ke ghar kī tārīḳh
un fazāoñ meñ koī baḌh ke dikhā.e to kamāl
ḳhud-ba-ḳhud hogī raqam bāzū-e-par kī tārīḳh
apne bachchoñ ko na deñ paa.e kabhī koī ḳhushī
sirf ham likhte rahe apne hunar kī tārīḳh
lūTne vaale kabhī luuT na pā.eñge mujhe
maiñ batā dūñgā agar raḳht-e-safar kī tārīḳh
apnī tārīḳh pe is darja bharosā haiñ hameñ
ham na dekheñge idhar aur udhar kī tārīḳh
laakh be-yār-o-madadgār phire sāhil par
qaid rahtī hai sadaf meñ hī guhar kī tārīḳh
'mīr'-o-'ġhālib' jinheñ kahtā hai zamāna 'shāhid'
un ke har sher meñ hai fikr-o-nazar kī tārīḳh
Top Urdushayar.com