fareb-e-ḳhūbī-e-nairañg dekhne ke liye
nikal paḌā huuñ tire sañg dekhne ke liye
ta.assubāt ke chehre pe ab hai ḳhush-hālī
lahū ke rañg ko be-rañg dekhne ke liye
zarā shu.ūr kī āñkheñ to kholiye sāhab
kamāl-e-zabt kā āhañg dekhne ke liye
nigār-ḳhāna-e-fan ke jamāl kī saugandh
maiñ aa gayā huuñ tire Dhañg dekhne ke liye
ta.alluqāt kā lohā to gal chukā hogā
palaT ke aa.e ho ab zañg dekhne ke liye