Sanjay Mishra Shauq

amir-e-shahr ke aangan mein jab ujale hue

Sanjay Mishra Shauq

1967
amīr-e-shahr ke āñgan meñ jab ujāle hue
na jaane kitne gharoñ ke charāġh kaale hue
isī zamīñ ke ḳhudā qabr-gāh meñ apnī
haiñ apnī jism kī miTTī pe ḳhaak Daale hue
tumhārī fikr kī kotāh-qad havelī meñ
bujhe charāġh to phir makḌiyoñ ke jaale hue
muḳhālifīn kā ab shaġhl ho gayā hai yahī
uchhālte haiñ ye jumle mire uchhāle hue
ajiib baat hai ḳhud merī āstīn ke saañp
mujhī ko ghūrte rahte haiñ sar nikāle hue
hamāre shahr meñ lafzoñ kī khetiyāñ haiñ bahut
qadīm log haiñ saare luġhat khañgāle hue
ye ahl-e-fan meñ bhī kiiḌe nikāl dete haiñ
hasad kā tauq jo haiñ gardanoñ meñ Daale hue
Top Urdushayar.com