Sanjay Mishra Shauq

barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain

Sanjay Mishra Shauq

1967
bārish-e-sañg se gul chaak huā chāhte haiñ
sab usī ḳhaak kī poshāk huā chāhte haiñ
yuuñ tire shahr meñ badlī hai havā-e-ḳhush-rañg
jitne ma.asūm haiñ chālāk huā chāhte haiñ
fikr kā āb-e-ravāñ ab nahīñ rukne vaalā
ham usī bahr ke pairāk huā chāhte haiñ
sab ko rahtī hai yahāñ shahr-e-amāñ kī ḳhvāhish
itne hālāt ḳhatarnāk huā chāhte haiñ
raushnī bechne vaale ye ujāloñ ke safīr
bastiyāñ phūñk ke ġhamnāk huā chāhte haiñ
merī sohbat kā natīja hai ki saare mazlūm
ek hī vaqt meñ bebāk huā chāhte haiñ
Top Urdushayar.com