ḳharāb ho gayā jab mere jism kā kāġhaz
to merī ruuh ne pahnā hai dūsrā kāġhaz
guzār dī hai yuuñ hī joḌte ghaTāte hue
savāl hal na hue aur bhar gayā kāġhaz
ġharīb-e-shahr huuñ ghar hai na kārobār koī
kabhī bichhātā kabhī oḌhtā rahā kāġhaz
hurūf raqs-kunāñ ho ga.e achānak hī
laboñ se apne jo us ne kabhī chhuā kāġhaz
vo din bhī yaad haiñ ham ko tumhāre hijrāñ meñ
hamāre beach meñ jab rābta banā kāġhaz
use jo naav banāyā to ġharq-e-āb huā
kuchh aur der to lahroñ se kheltā kāġhaz
adālatoñ meñ bhī jhūTī gavāhiyoñ ke liye
tamām-umr zabāñ kholtā rahā kāġhaz
futūr zehn meñ bhar kar havas ke nezoñ par
uchhāltā rahā ham ko harām kā kāġhaz