Sanjay Mishra Shauq

dard-e-dil jaan ka aazar hai main jaanta hun

Sanjay Mishra Shauq

1967
dard-e-dil jaan kā āzār hai maiñ jāntā huuñ
aur allāh madad-gār hai maiñ jāntā huuñ
maiñ binā kalima paḌhe bhī to musalmāñ Thahrā
haañ mire dosh pe zunnār hai maiñ jāntā huuñ
ek ik harf mahakne lagā phūloñ kī tarah
ye tirī garmī-e-guftār hai maiñ jāntā huuñ
rehn rakkhe jo mirī qaum ke mustaqbil ko
vo mirī qaum kā sardār hai maiñ jāntā huuñ
zulm ke shahr kī sachchā.iyāñ likhne vaalo
chehra chehra yahāñ aḳhbār hai maiñ jāntā huuñ
merī koshish se tire husn kī saarī tafsīr
chand lafzoñ meñ giraftār hai maiñ jāntā huuñ
jis ko paane meñ gañvā dī hai ka.ī saal kī niiñd
ab vahī bar-sar-e-paikār hai maiñ jāntā huuñ
terī duniyā meñ to aa.e haiñ payambar lākhoñ
kaun is fauj kā sardār hai maiñ jāntā huuñ
hañstī-gātī huī duniyā kī tabāhī kā sabab
havas-e-dirham-o-dīnār hai maiñ jāntā huuñ
TuuT jaatā hai har ik jaal yahāñ nafrat kā
ishq ke daam meñ sansār hai maiñ jāntā huuñ
bhāgnā chāhūñ bhī tujh se to kahāñ tak bhāgūñ
har taraf tū hī numūdār hai maiñ jāntā huuñ
Top Urdushayar.com