Sanjay Mishra Shauq

dho ke ashkon se kai bar ujali hui hai

Sanjay Mishra Shauq

1967
dho ke ashkoñ se ka.ī baar ujālī huī hai
dhuup meñ jal ke vo tasvīr bhī kaalī huī hai
maiñ girūñgā to isī ḳhaak se uTThegā koī
haq-parastoñ se ye duniyā kabhī ḳhālī huī hai
lucknow naaz hai jis par vahī kohna tahzīb
ham ne virse meñ salīqe se sambhālī huī hai
ab na tasvīr hai koī na hai kīloñ kī chubhan
dil kī dīvār isī saal se ḳhālī huī hai
ḳhaak meñ mil gayā jab ruuh kā ḳhālī piñjra
mansab-e-ishq pe tab apnī bahālī huī hai
dasht-e-vahshat kā koī ḳhauf nahīñ hai ham ko
sab bhulā dene kī tadbīr nikālī huī hai
tere jaisā to kahīñ koī nahīñ hai jānāñ
ham ne āfāq kī manzil bhī khañgālī huī hai
haañ mirī fikr alag hai to sabab hai is kā
dard ke chūlhe pe sau baar ubālī huī hai
apnā haq māñgnā hākim se baġhāvat hai magar
ye rivāyat bhī hamārī hī to Daalī huī hai
mere un sheroñ pe sar dhuntī rahegī duniyā
jin meñ timsāl-garī dekhne vaalī huī hai
Top Urdushayar.com