ga.ī nahīñ tire zulm-o-sitam kī ḳhū ab tak
Tapak rahā hai mirī aañkh se lahū ab tak
na jaane kab se hai mere laboñ pe terā naam
isī sabab se to TuuTā nahīñ vuzū ab tak
tamām umr gulistāñ meñ kaT ga.ī lekin
huā nahīñ mujhe aur ek rañg-o-bū ab tak
kisī bhī sher ko hāsil huī na zarḳhezī
maiñ DhūñDhtā rahā sahrāoñ meñ numū ab tak
khulī sarā.e ke jaisā hai ye badan apnā
aur is sarā.e meñ chaltī rahī hai lū ab tak
tasavvurāt ke ḳhemoñ ko raushnī mil jaa.e
isī ḳhayāl kī hai dil meñ aarzū ab tak
kiye the 'shauq' jo mere javān beTe ne
vo dil ke chaak hue hī nahīñ rafū ab tak