Sanjay Mishra Shauq

faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak

Sanjay Mishra Shauq

1967
fazā-e-zehn kī jaltī havā badalne tak
maiñ bujh na jā.ūñ lihāf-e-anā badalne tak
charāġh-e-jism meñ is baar bujh na jā.ūñ maiñ
havā-e-ḳhema-e-shab kī ridā badalne tak
phir aaj kuufe se hijrat bahut zarūrī hai
palaT ke ā.eñge āb-o-havā badalne tak
ajiib log haiñ duniyā tirī havas ke liye
tule hue haiñ ḳhud apnā ḳhudā badalne tak
kashīd karte haiñ zindāñ kī vādiyoñ se umiid
qafas badalne haiñ zanjīr-e-pā badalne tak
usuul kaañp rahe the badan kī bhaTTī meñ
qanā.atoñ kī mukammal fazā badalne tak
mire lahū kā namak chakh liyā hai us ne bhī
vo ḳhush rahegā bahut zā.iqa badalne tak
safed barf pe nāchī bahār jī-bhar ke
nizām-e-qudrat-e-kohna kī jā badalne tak
Top Urdushayar.com