Sanjay Mishra Shauq

KHirad ki rah mein har moD par dhoke nikal aae

Sanjay Mishra Shauq

1967
ḳhirad kī raah meñ har moḌ par dhoke nikal aa.e
bisāt-e-amn par bhī jañg ke naqshe nikal aa.e
zarūrī hai ham apnī zindagī ko aa.ina rakkheñ
ye chādar kaun oḌhegā agar dhabbe nikal aa.e
mohabbat kā use iqrār karnā hī paḌā lekin
ye sūkhe peḌ se kaise hare patte nikal aa.e
bahut din ba.ad jab maiñ ne ḳhudī kā aa.ina dekhā
to ḳhud mere hī chehre se ka.ī chehre nikal aa.e
kabhī haare sipāhī kī tarah vāpas nahīñ palTe
ham aañsū kī tarah ik baar jo ghar se nikal aa.e
hathelī par ugānā chāhte haiñ khet sarsoñ ke
mire bachche to apnī umr se aage nikal aa.e
julūs-e-amn jab niklā to ham ne 'shauq' ye dekhā
kahīñ ḳhanjar nikal aa.e kahīñ neze nikal aa.e
Top Urdushayar.com