jānte ho nahīñ chalnā to yuuñ chalte kyuuñ ho
aaj bhī ġhāfil-e-manzil ho nikalte kyuuñ ho
vo dilāse hī chhalāve hī faqat dete haiñ
un kī har baat se har baar bahakte kyuuñ ho
jab sambhālā hai javānī meñ yuuñ ḳhud ko tanhā
aap aa kar ke buḌhāpe meñ phisalte kyuuñ ho
koī fankār agar shohrat-o-izzat paa.e
martaba milne pe is naam se jalte kyuuñ haiñ
tum sitāroñ meñ kabhī tāroñ meñ kho.e rahte
vahshat-e-dil meñ liye ghar se nikalte kyuuñ ho
dil-rubā jān-e-vafā Dartā huuñ nazar-e-bad se
ban sañvar kar yuuñ zamāne meñ nikalte kyuuñ ho
kaam jo hone haiñ ho kar hī raheñge sāhab
ho ke hairān pareshān nikalte kyuuñ ho
ishq aafat hai balā hai ye qayāmat bhī hai
ishq kī aag ke dariyā meñ utarte kyuuñ ho