Shaista Mahjabeen

tumne hi to girai thi mujh par ye bijliyan

Shaista Mahjabeen

Jaipur, Rajasthan, India

1993
tum ne hī to girā.ī thī mujh par ye bijliyāñ
dene ko aa rahī ho mujhe kyuuñ tasalliyāñ
sone sī thī kharī maiñ chamak barqarār thī
phir kyuuñ hazār baar liiñ merī talāshiyāñ
nikle jo āshiyāñ ko girāne kabhī mire
girne lagī hai aaj unhīñ par ye bijliyāñ
suljhāyā jitnā utnī hī uljhī ye zindagī
is zindagī kī hal nahīñ hotī paheliyāñ
shā.istagī mohabbateñ ulfat vafā hayā
rakkhī hai mere paas tirī sab nishāniyāñ
kartā nahīñ hai koī mohabbat yahāñ hameñ
aatī hai roz roz hameñ kyuuñ ye hichkiyāñ
'shā.istā' yaad tujh ko kare kab talak batā
ab chāhiye mujhe tirī yādoñ se chhuTTīyāñ
Top Urdushayar.com