saath terā mirā ghar ho to maza aa jaa.e
phir vahāñ bāġh-o-shajar ho to maza aa jaa.e
naukrī ke liye phirte haiñ hazāroñ dar dar
haath meñ koī hunar ho to maza aa jaa.e
tum rakho sab pe nazar mere sivā kyuuñ saaqī
sirf mujh par hī nazar ho to maza aa jaa.e
tujh ko aatā hai nazar bas mirī shohrat kā ḳhayāl
soz-e-dil kī bhī ḳhabar ho to maza aa jaa.e