Pallavi Mishra

kyun tirgi si chhai charaghon ke darmiyan

Pallavi Mishra

Sitamarhi, Bihar, India

1962
kyuuñ tīrgī sī chhā.ī charāġhoñ ke darmiyāñ
kyā husn chhup gayā hai naqāboñ ke darmiyāñ
nāsūr ban gayā ka.ī sāloñ ke darmiyāñ
ik zaḳhm jaane kaisā hai chhāloñ ke darmiyāñ
vo niiñd meñ bhī aañkh se ojhal na ho janāb
us ko basā liyā hai nigāhoñ ke darmiyāñ
shiddat hai pyaas meñ to sarovar ke jā qarīb
kab tishnagī miTī hai sarāboñ ke darmiyāñ
aulād pe agar jo musībat na hotī aaj
kyuuñ maañ kā haath ruktā nivāloñ ke darmiyāñ
yuuñ hī janāb ham ko ye ohda nahīñ nasīb
sāloñ hai sar khapāyā kitāboñ ke darmiyāñ
jo ġhaur se paḌhoge savāloñ ko baar baar
mil jā.egā javāb savāloñ ke darmiyāñ
sāhil ko toḌne kī himāqat kiye baġhair
lahreñ uchhal rahī haiñ kināroñ ke darmiyāñ
miltā nahīñ hai kuchh bhī taraddud kiye baġhair
kāñTe bhare paḌe haiñ gulāboñ ke darmiyāñ
shāyad mire sanam ne kiyā yaad mujh ko aaj
hichkī tabhī hai aa.ī nivāloñ ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com