Pallavi Mishra

aalam mahak raha tu guzre jahan jahan hai

Pallavi Mishra

Sitamarhi, Bihar, India

1962
aalam mahak rahā tū guzre jahāñ jahāñ hai
terā jo kārvāñ hai ḳhushbū kā kārvāñ hai
ik ḳhvāb ham ne dekhā ḳhush-hāl gulsitāñ hai
aur saath ye bhī dekhā ḳhush-hāl bāġhbāñ hai
shāyad mirī nazar meñ ashkoñ kā qāfila hai
kuchh saaf dikh na paa.e sab kuchh dhuāñ dhuāñ hai
daulat ke hai nashe meñ rishtoñ kī ahmiyat ko
samjhāne kī hamārī koshish bhī rā.egāñ hai
ham bhī idhar haiñ rūThe vo bhī udhar ḳhafā hai
ab baat ho to kaise tanhā.ī darmiyāñ hai
ye husn kī adā bhī ham ko samajh na aatī
thoḌī sī bas ayaañ hai baaqī to sab nihāñ hai
be-ghar bhale hai lekin hañs ke vo kah rahā hai
bistar mirī zamīñ hai chhat merā āsmāñ hai
Top Urdushayar.com