kabhī sab chhīn letā huuñ kabhī ne.amat luTātā huuñ
mujhe sab vaqt kahte haiñ maiñ uñglī par nachātā huuñ
na maiñ ka.abe meñ rahtā huuñ na maiñ kāshī meñ rahtā huuñ
garebāñ jhāñk kar dekho maiñ tere dil meñ basta huuñ
akelā chhoḌ kar mujh ko yakāyak chal diye saare
sahārā jab ḳhudā kā hai kahegā kaun tanhā huuñ
garajtī hai ghaTā to kyā hai tūfānī havā to kyā
jigar meñ hai bahut himmat kisī se maiñ na Dartā huuñ
bichhaḌ jā.ūñ agar tum se añdherā chhā hī jā.egā
ki jis meñ nuur hai pinhā maiñ aisā ik nagīna huuñ
qasam khā kar mukar jaanā tirī aadat purānī hai
qasam se jab qasam khā.ūñ maiñ shiddat se nibhātā huuñ
ye sūraj chāñd kī yaarī baḌī adbhut pahelī hai
kaheñ donoñ hī aapas meñ ki tum aao maiñ jaatā huuñ