Pallavi Mishra

zindagi mein aisa kitni bar hota hai yahan

Pallavi Mishra

Sitamarhi, Bihar, India

1962
zindagī meñ aisā kitnī baar hotā hai yahāñ
manziloñ kā rāsta dushvār hotā hai yahāñ
jo safar ke lutf kā andāza kar saktā nahīñ
ḳhush safar meñ rahne se lāchār hotā hai yahāñ
āñdhiyāñ pur-ḳhār raste sañg rokeñ kis tarah
jin ko gulshan kī kalī se pyaar hotā hai yahāñ
apnī qismat se huā shah maat kā har faisla
Dūbtā beḌā kabhī to paar hotā hai yahāñ
ḳhvāb chaknā-chūr hote haiñ bulandī par kabhī
aur jo dekhā nahīñ sākār hotā hai yahāñ
dushmanoñ ke vaar se bhī jān-levā hai kabhī
apnoñ kā begāna-pan bhī dhaar hotā hai yahāñ
Top Urdushayar.com