use mohabbat hai ham se lekin kabhī zabāñ se kahā nahīñ hai
nigāh paḌhne meñ ham haiñ māhir use ye shāyad patā nahīñ hai
qadam tale hai zamīn ġhā.eb kahīñ pe chhat kā patā nahīñ hai
ye bhed kyuuñ hai samajh sake jo abhī talak to milā nahīñ hai
guzar rahī zindagī ye kaisī jo pūchhte ho to kyā batā.ūñ
ḳhudā se mujh ko gila nahīñ hai magar jo chāhā milā nahīñ hai
vo kah rahā hai ki jaan apnī hamārī ḳhātir luTā sakegā
hai kaun jis ne vafā meñ ye sab kahā nahīñ yā sunā nahīñ hai
na zindagī se mujhe gila hai na zindagī se tujhe gila hai
magar alag is tarah se jiinā tumhīñ kaho kyā sazā nahīñ hai
kisī ko māñge binā mile sab kisī kī jholī rahe hai ḳhālī
ki is ke pīchhe ḳhudā kī manshā hai kyā kisī ko patā nahīñ hai
ki mushkiloñ se Daro nahīñ aur kaam himmat se lo hamesha
tabhī saphaltā milegī ik din ye sach kisī se chhupā nahīñ hai